Monday, December 20, 2010

Kayi baar ye socha hai maine



Kayi baar ye socha hai maine
Kis baat ka garv hai hindu ko
Gintee mein chaar wo zyaada hai
Isliye itnaa itraata hai
Masjid gira kar kisi ki
Jahaan Mandir usko banwaana hai
Kabhi socha hai usne ki
Kyaa Bhagwaan wahaan par aayega
Jis Mandir ko banwaane ko
Khoon bahe maasoomon k

Kayi baar ye socha hai maine
Kyun Musalmaan bagaawat ko
Imaan mein aane detaa hai
Kyun ginti ko itnaa khaas banaa
Haq ki jung mein jaa padtaa hai
Khudaa to quraabani hi ko
Bande ki ibaadat kehtaa hai
Fir kyaa wahaan padhi Namaaz mein
Khudaa barqat nawaazega
Jis masjid ko banwaane ko
Yateem huye masoom kayi

Kayi baar ye socha hai maine
Kyun wahaan nahi banaate hum
aisi imaarat jismein ki
Khudaa aur Bhagwaan dono hi rehne aayein
Prarthanaa hon Namaaz padhein
Na koi Hindu aur na hi koi Musalmaam kehlaaye
Insaan bus Insaan kehlaaye

Kayi baar ye socha hai maine
Kayi baar ye socha hai maine

2 comments:

  1. Gr8 Secular thoughts...Bt its not just related to Hindus and Muslims....Being a good Individual is most important...

    ReplyDelete
  2. Very True Samir.... It's just that I wrote this when there was a lot of furore over the Babri Masjid Verdict, so it reflected here in the poetry...

    ReplyDelete